Aksar hum manjilo ko pane ki khawish mein
Kho dete hain kyai khushiya
Kho dete hain kyai lamhein
Yaad aati hain kyai baatein
Na jane who sukun kaha gaya zindagi se
Na jane who bahare kaha gayi
Lagta hain khawabo ke peeche bhagate zindagi yu hi guzar jayegi
Mann mein ek chubhan si hain
Dil mein naa jane kaise kasak hain
Khamosh hain yeh saari raahein
Na jane woh khushi kaha gayi
Manjilo pe manjil tay karte gaye
Hum raasto pe raste chalte gaye
Inhi raasto par kho gayi humari muskarahtein
Aasmano ko dekh roj nagmein bante
Kaagazo par raat yu hi guzrate
woh shaam ka dhalna , din ka chalna
Har rangeen shaam ki parchayi
Yaad hain humein
Par aaj naa woh shaam hain naa woh din
Buss manjilo par manjil tay karte gaye
Raasto pe raaste chalte gaye
Waqt asa bhi tha jab hasne ke liye zarrorate kum thi
Par aaj mehsoos karo toh lagta hain
Manjilo ke saayein mein
Humne kho di woh hasi
Oonche hain sare khawab
Oonchi hain saari manjile
In bhagate raasto mein
Daudti nazarein
Bheed mein bhi tanha akele hain hum
Raat ke baad din ka aana
Patchado mein phool ka khilna
Yeh aas dilata hain
Paa lege woh khushi
Laut aayegi woh muskarahtein
Har masoom chere par chaa jayegi wahi hasi
--Megha Bhuwal--
[with the same title from an email forward]